One of the best penned songs I have ever heard... !
But you can definitely not appreciate it in all moods ..
----------------------------------------------------------------
Kabhi kisi ko Mukammal jahan nahi milta
Kahin zameen toh kahin aasmaan nahi milta
Jisay bhi dekhiye wo apne aap mein gumm hai
Zubaan mili hai magar hum-zubaan nahi milta
Bhuja saka hai bhala kaun, waqt ke sholay
Ye aisi aag hai jismay, dhuaan nahi milta
Tere jahaan mein aisa nahi ke pyar na ho
Jahan umeed ho iski, wahan nahi milta
Kabhi kisi ko Mukammal jahan nahi milta
Kahin zameen toh kahin aasmaan nahi milta
Kabhi kisi ko Mukammal jahan nahi milta
----------------------------------------------------------------------------
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
.jpg)
No comments:
Post a Comment